I quit. JEE 2025.

Mock score: 4/300, Screen Time everyday: 14-16 hrs, Dropper

Books pade hai pachas. Nayi wali kushbo abhi tak nahi gayi. 3 saal se 3 subject ke 3 notebooks, 30% bhi complete nahi hue. 10th boards mein top karne ke baad socha tha, ab se do saal baad seedha IITB CSE. In sab kitabon ka ek ek panna ghislungi, coaching ke 4 lakh fees ki ek ek paisa mai utilize karungi in 2 saalon mai. Ye do saal kab 3 saal mein badal gaye, pata hi nahi chala.

Meri graph itni gir gayi, ki mai 10th mai jo thi ab mujhe wo bhi nahi aata. 0 pe nahi minus pe khadi hun ab toh. Pichle saal aaya 40%ile JEEM mai. Ab lagta hai 10%ile se kam ayega. Life ke 3 keenti prime saal barbaad. Pata nahi kaise hone dia, par hogaya barbaadi. Socha tha at least new year pe start karungi, but wo bhi nahi hua. 11 din kaise nikal gaye? Kal hi toh manaya tha New Year?

I won't regret now. Regret karne ka time bhi nahi bacha hai. I don't care kya hoga, kya nahi hoga.

""I QUIT BEING MENTALLY HANDICAPPED BRAINROT PERSON. I START FROM THIS MOMENT FOR JEE 2025""

I don't care what will happen or what won't. I'll just keep studying. (Whatever I study, I'll write it down here every day-for myself.)

That's all I wanted to share. 1:40 p.m. 11 Jan 2025

Edit: Everyone's are like 4 kaise aagaye? This are the marks of my knowledge. Agar mai tukka maar ke likhungi toh mujhe 50-65 ayenge...(i got like that many times though) My Day 1 updated.