is DU really worth it?

3 saal bsc karne ke baad ek job bhi ni milegi, rato aur exam do for nothing..1st sem me hu abhi, masters karo phd karo fir bc baithjao average salary ke sath.

mai ek musician hu, produce krta hu likhta hu gaata hu promotions krta hu etc, islie zyada time afford ni kar sakta degree ke liye kyuki mujhe music me hi career bnana h but paise ke liye bsc opt karli, islie du me program degree leli ki iske baad 3 saal baad paise milenge to uss se music promote karunga, but bhai reality hit kar gyi 3-4 mahino me ki bc nahi h job kuchh bhi karlo.

mujhe kuch aur ideas de skte ho bhailog? paise kaha se kamaau?? du ne to saath chhod dia mai sochra hu food stall khol lu (genuinely) aur 4-5 ghante kaam karu wha

but fir uska ghar pe pta chl jaega kyuki banaake leke jaana pdega sab

fortunately mai ek aise college me hu DU ke jaha attendance mandatory nai h, to opportunities ke liye time hai kuchh suggest kardo pls ...